How do you pray the 91st Psalm?

 How do you pray the 91st Psalm?

How do you pray the 91st Psalm?
91st Psalm a prayer for healing and protection


A Prayer For Healing And Protection

  • Kiya aap buhat ziyadah pareshan hen? 
  • Aap pareshan hen kah kon aap ko aap ke dushman se bachaye ga? 
  • Aap apani bemari ki wajah se pareshan hen? 

Khuda ka kalam aap ki madad kare ga kah aap inn pareshaniyon or masibaton se rehai paien. Aap pareshan hen kah aap par kisi ne jado kar diya hay. Kisi ne aap ke liye shaitani jal bachaya howa hay. Aap ke ghar mein har waqat larai jagada hota rahta hay. Yaa aap ablis (shaitan) ki lagai hoi bemari se pareshan hay. To aap 91 zabur ko subah sham apane inn maqasid ko samane rukhtey huvay apani dua mein padhen, Khuda ka Kalam aap ki sari pareshaniyon ko dur kar de ga. 

Aap apani aankhon ko band karin aur Khuda se dua mangin, aap meri dua ke alfaz ko apane andar ese mehsos karin kah jaise aap khud, Khuda se dua mang rahe hen. 

  • Aye Khuda main buhat pareshan hon, main ne teri buzurgi aur teri naiki ke khalaf buhat ganah kiye hen. Aaj main jis haal mein hon woh apane bure kamon ki wajah se hon. Aye Khuda mere ganahon ke mutabiq nahin balkah apane Azeem Fazal ke mutabiq mujh se salok kar aur mujhe muaf kar de kiyon kah Tera wadah hay kah agar hamare ganah masharq se le kar magharb tak hi kiyon na hon agar ham tujh se suche dil se muafi mangte hen to Tu hamin muaf kar de ga, mere ganah, ghaltiyan mujhe muaf farma, aur mujhe ablis ki taraf se lagai hoi bemari se rehai de.
  • Mere ghar mein jo har waqat larai jhagada hota rehta hay ise Apani Azeem Muhabbat se badil de.
  • Mere mali haalat se Tu Aye Khuda bakhubi waqf hay, mujhe khushali ata farma.
  • Mere dushman meri jan ke khwahan hen, woh har roz mere khalaf koi na koi niya mansubah bandhate rahte hen mujhe mere dushmanon ke hath mein na padne de, woh apne hi mansubon mein khud hi garftar ho jain. Woh jan jaien kah Tu hi mera chhadane wala zindah Khuda hay. 
  • Aye Khuda tere hi Kalam mein woh quwat, woh taqat pai jati hay jis ke samane koi bhi bemari, koi bhi kamazori, koi bhi shaitani asaro taaseer, ablis or ablis ke farzand nahin tehrte.  

Jaisa kah Tere Kalam e Muqadas mein likha howa hay: jo Haq Taaala ke pardah mein rehta hay. Wo Qaadar e Mutalaq ke saiya mein sakonat kare ga. Main Khudawand ke bare mein kahon ga wohi meri panah or mera gadh hay. Woh mera Khuda hay jis par mera touqal hay. Woh tujhe siyad ke phande se or mohalk waba se chhadaye ga. Woh tujhe apane paron se chhapa le ga or tujhe oss ke bazuon ke niche panah male gi. Oss ki suchai dhal or super hay. Tu na raat ki hebat se dare ga. Na din ko udne wale tir se. Na oss waba se jo andhere mein chalti hay na oss halakat se jo dopehr ko weran karti hay. Tere aas pas ek hazaar gir jain ge or tere dahne hath ki taraf das hazaar lekin woh tere nazdek na aaye gi. Lekinn tu apani aankhon se ngah kare ga or shareeron ke anjam ko dekhe ga. Par Tu Aye Khudawand! meri panah hay! Tu ne Haq Taaala ko apana maskan bana liya hay. Tujh par koi aafat nahin aaye gi or koi waba tere kheemah ke nazdek na pohche gi. Chunkah Woh teri babat apane farshton ko hukam de ga kah teri sab raahon mein teri hafazat karin. Woh tujhe apane hathon par utha lien ge taakah esa na ho kah tere paon ko pathar se thes lage. Tu shair babar or afi ko ronde ga. Tu jawan shair or asdaha ko pamal kare ga. Chonkah oss ne mujh se dil lagaya hay iss liye Main ose chhadaon ga. Main ose sarfaraz karon ga cunkah os ne Mera naam pehchana hay. Woh mujhe pukare ga or Main osse jawab don ga. Main musibat mein oss ke sath rhon ga. Main ose chhadaon ga or apni nejjat bakhshon ga. Main ose umar ki darazi se aasudah karon ga or apani najat ose dikhaon ga.Amin 

Aye Khuda jo bhi is dua ko is yaqeen ke sath padh raha hai kah Tera Kalam har masle ka hal hay, oss ko os ke eman or yaqeen ke mutabiq os ki dua ka jawab de. Mangta hon tere Betay apane Khudawand Yasu  Masih ke waselah se, Aamin .


Post a Comment

0 Comments