3 Stages To Get Fruitful Throughout Everyday Life
Zindagi mein kaise kamyab hoin
![]() |
| A Hard worker Christian Student| Trying to become successful |
Jb aap kamyab logon se zindagi mein kamyab honey ka tariqa puchy gy ke kamyab insan kaise bane to wo aap ko mukhtalif formuley btaein gy. Lakin sach to ye hai ke kamyabi apne pichy nishan chor jati hai. Aur aap un nishanaat ki pervi krty howy kamyab ho sakty hain. Ap un halaat mein jin mein ap jeena pasand karty hain unhein halaat mein aam si khasosiyaat aur aam asoolon ko apnaty howe kamyab ho jaye gy. Yeh sb dekhny mein aam sa lgta hai issi liye log inn baton pe amal nahi krty.
Aaye main ap ky sath aik hawalah share krta hoin.
" Kamyabi ky koi raaz nahi hain. Ye teyaari , sekhat mehnat aur nakami se sekhny ke nataij hain. " ( Colin powell )
Jaisa ke iss iqtabaas mein kaha gia hy ke aap ki zindagi mein badry pemany par kamyabi hasil karny ke liye 3 aeham awamil hain.
1 . Teyari :
Aap ko har cheiz ke kamil hony ka intazar krny ki zruret nahi hai. Pehly qadam se shuro karein aur aagy badhty rahein. Kamyabi raato , raat hi mein nahi milti. Bas teyaari , teyaari , teyaari. Jo kamyabi ap chehity hain oss ke liye hamesha apne ap ko teyaar rekhein. Apni oss manzil ko dekhty rahein jisy ap dil-o- jan se paana chehty hain. Phir din raat kaam karein aur oss moque ke liye teyaari karein jb qismat khud aa kar ap ke darwazy pe dastak dy.
2 . Sekhat mehnat :
Kamyabi ke liye sekhat mehnat ki zruret hoti hai.
Don't listen to these ' get rich quick ' scheme.
Azmat ko hasil karny ke liye aap ko apne kardar ko teyaar krny aur apne aap aur apne karobaar par sekhat mehnat krny ki zruret hai.
Takheer na karein. Sahi eqdamaat badri juratmandi se karein.
" Work long hours and craft your legacy. "
3 . Nakami se sekhna :
Kamyaab log apni nakamiyoin ko apni nakami nahi smjty. Wo apni failures ko apny important lessons smjty hain. Ye lessons unn ko dubara mistakes na krny ke qabil banty hain. Jb ap bhi apni har nakami ko apna important lesson semjna seekh ly gy tb ap bhi apni manzil ko paa ly gy.
Teyari , sakhat mehnat , aur apni nakamiyoin se sekhna ap ky roshan mustkbil ki tameer ky bunyaadi asool hain.
Life mein success hona hai to ye baaten hamesha yaad rekhen.

0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.